Total Pageviews

Monday 4 June 2012

MAI NAZM NAHI, MAI AZAAD HOON


Us key wajood mein rakha hua
RDX phata
Tou maine
Maani ki cheethdoun pey
Alfaz ki dhajiyaan
Laga kar
Kagaz pey rakh diya usey
Wo saans leney lagi
Magar uska
Nazm-o-Nizaam
Bigad chuka tha
Tashbih ki khabar nahi par
Istiaara jal chuka tha
Maine
Qalam ki nok sey
Khoon mein luthdey
Uskey badan ko
Choo kar kaha
Qagaz sey
Bahar na nikalna
Wahan nuqaad baithey hain
Jo lafz lafz tolengey
Tujhe kya kya na bolengey
Behtari issi mein hai
Yahin
Qagaz mein dafan hoja.

Qagaz key ik Koney ka
Sahara ley kar
Apney zakhmi wajood ko
Utha kar
Us ney
Mujhse kaha:
Mera husn
Mere lafzoun ki tarteeb
Sab bigad gai hai
Mai nazm tou bilkul nahi
Nazm tou mera
Istiaara bhi nahi
Mai tou
Kashmir hogai hoon
Isliye
Mai azaad hoon,
Azaad hoon mai

1 comment:

  1. baat dil pey lagti hai to dil se AAh nikalti hai....laajawaab .....

    ReplyDelete