Total Pageviews

Wednesday 27 September 2023

Tasalsul/تسلسل

Tasalsul

Tum udaasi mein rehti ho
Tou ghar mein nahi rehti
Ghar bhi nahi rehta
Khisak sa jaata hai
Apni buniyadun se
Thehar nahi paata hai
Kai fariyadun se
Pata badal jaata hai -
Goya ek ghamgheen shehar hai
Shehar mein tareek ek mohalla
Mohalla ki ek awara sadak
Sadak ke kinare roshan siyah lamppost
Jiski roshni mein pareshan tum
Tum mein ek makaan baitha hai -

Tum Ghar mein rehti ho aur
Ghar tum mein rehta hai


تسلسل

تم اُداسی میں رہتی ہو
تو گھر میں نہیں رہتی
گھر بھی نہیں رہتا
کھسک سا جاتا ہے
اپنی بنیادوں سے
ٹھہر نہیں پاتا
کئی فریادوں سے
پتہ بدل جاتا ہے -
گویا ایک غمگین شہر ہے
شہر میں تاریک ایک محلہ
محلے کی ایک آوارہ سڑک 
سڑک کے کنارے روشن سیاہ لیمپ پوسٹ
جسکی روشنی میں پریشان تم
تم میں ایک مکان بیٹھا ہے -

تم گھر میں رہتی ہو اور
گھر تم میں رہتا ہے