Total Pageviews

Thursday, 25 July 2019

MAUJZA

Qainat ki tasveer ko
Kuch wasi kar kay dekho tou
Wajood ek maujza lagta hai
Aur insaan is la-intiha khala mein
Ek dhool, ek tinka
Aur is tinkey kay kaandhon pe
Poori qainat ka gham
Poori qainat ka bojh
Jise ley kar ye darbadar ghoomta rehta hai
Ye tinka Sota hai, jaagta hai
Daftar jata hai, laut kar aata hai
Buson mein phirta hai, jahazon mein udta hai
Humsafar dhoondta hai
Makaan ko ghar banata hai
Bacche Janta hai
Jashn manata hai
Samaj ko janam deta hai
Jeeta hai, marta hai
Magar ye bojh kabhi kam nahi hota
Kabhi kam nahi hota
Kabhi kam nahi hota

Kuch istarah se dekho tou
Insaan maujzon mein ek bada maujza hai

No comments:

Post a Comment