Sheher
mein ab bhi
Naya
Qanoon nafiz hai
woh
jiski
unhein
talaash hai
woh
Asli Jinn
unhein
mila
nahi hai
Aap
kahan hain
aap
key Kashmiri
ab bhi
Siyah
Hashiyoun mein
jee
rahey hain
unhein
Thanda
Gosht samajh kar
noocha
ja raha hai
khaya
ja raha hai
Aap
kahan hain
unkey zakhmoun pey
Phaha
tou lagayiye
unhein
Tetwal
Ka Kutta
Bana
diya gaya hai
Aap
kahan hain
woh
bazaarein
jahan
Phunduney
aur Kaali Shalwaarein
milti
thein
woh
Dhuaan
ho gayein hain
Woh
100 Candle Power ka Bulb
Suraj
sey zyada roshan
ho
gaya hai
Aap
kahan hain
Shu
Shu ab
Usi
kamrey mein
bandh
hai
aur
Mozail,
Babu
Gopi Nath
aap
ko
aaj
bhi
dhoondh
rahey hain
Aap
kahan hain
Ab
aajaeiye
Sadak
Ke Kinarey
Aaj
bhi Toba Tek Singh ki
Nangi
Aawazein
Goonj
rahi hain
“Opad
di gud gud di moong di dal di laltain di Hindustan te Pakistan di dur fitey munh”
P.S: Aur haan, aap ki kitaaboun ki qeemat aap sey bhi zyada hai. Agar aaj aap hotey tou adalat aap ko jurmaaney key tour, apni hi kitaabein khareedney ki saza deti.
Aapka Muzaffar Karim
Brilliant as always...Happy birthday to the most dearest storyteller Manto!!!
ReplyDeleteWhat a creative intervention!
ReplyDeleteBeautiful
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeleteSpeechless!
ReplyDeleteAll i could utter was wonderful wonderful wonderful while reading.
Thank you so much sir for this amazing piece.