Total Pageviews

Showing posts with label dupatta. Show all posts
Showing posts with label dupatta. Show all posts

Monday, 21 January 2019

MY AIM IN LIFE

Tumhare Seene Pey
Beparwah soye duppate se mukhtalif
Mere Khwaab nahi

Thursday, 10 January 2019

SANIHA

Woh ki har waqt
Dupatte ko sanbhala karti
Mai ki khandar
Udti rahi har waqt hawa mujh mein

Uska milna
Kisi kitabi sanihe se kam na tha
Warq dar warq khulta raha woh lams mujh mein

سانحہ

وہ کہ ہر وقت
دوپٹے کو سنبھالا کرتی
میں کہ کھنڈر
اڑتی رہی ہر وقت ہوا مجھ میں

اسکا ملنا
کسی کتابی سانحے سے کم نہ تھا
ورق در ورق کھلتا رہا وہ لمس مجھ میں

Friday, 6 July 2018

KHUSFEHMIYAN

Tumhe Choomne ki Shararat Mein
Us Nakaam Sargoshi Mein
Jo Jhumka Hila Tha...
Tumhari Saanson ki Hararat Mein
Ab Bhi Hil Raha Hoga

Tumhare Dupatte Ki Qasam
Mujhe Ab Bhi Lagta Hai
Sarfarosh Hawaein
Usey Uda Rahi Hongi
Kisi Khudaar Mulk Kay Parcham Ki Tarah