Total Pageviews

Showing posts with label Tetwal Ka Kutta. Show all posts
Showing posts with label Tetwal Ka Kutta. Show all posts

Thursday, 10 May 2012

Manto Ke Naam Khat


Sheher mein ab bhi
Naya Qanoon nafiz hai
woh jiski
unhein talaash hai
woh Asli Jinn
unhein
mila nahi hai

Aap kahan hain

aap key Kashmiri
ab bhi
Siyah Hashiyoun mein
jee rahey hain
unhein
Thanda Gosht samajh kar
noocha ja raha hai
khaya ja raha hai

Aap kahan hain

unkey zakhmoun pey
Phaha tou lagayiye
unhein
Tetwal Ka Kutta
Bana diya gaya hai

Aap kahan hain

woh bazaarein
jahan
Phunduney aur Kaali Shalwaarein
milti thein
woh
Dhuaan ho gayein hain
Woh 100 Candle Power ka Bulb
Suraj sey zyada roshan
ho gaya hai

Aap kahan hain

Shu Shu ab
Usi kamrey mein
bandh hai
aur Mozail,
Babu Gopi Nath
aap ko
aaj bhi
dhoondh rahey hain
Aap kahan hain

Ab aajaeiye
Sadak Ke Kinarey
Aaj bhi Toba Tek Singh ki
Nangi Aawazein
Goonj rahi hain
“Opad di gud gud di moong di dal di laltain di Hindustan te Pakistan di dur fitey munh



P.S: Aur haan, aap ki kitaaboun ki qeemat aap sey bhi zyada hai. Agar aaj aap hotey tou adalat aap ko jurmaaney key tour,  apni hi kitaabein khareedney ki saza deti.

Aapka Muzaffar Karim