Yeh Kab Hua
Ki Tumhara Dil
Purane aur Naye Dil Mein Bat Gaya?
Aur Kab
Tumhari Rooh Mein
Tehzeeb Se Zyada
Raaste Ki Gard Simat Aayi,
Mujhe Khabar Na Hui
Aey Dilli!
Kab Tumne
Apni Udti Zulfon Mein
Hawai Jahaz Baandh Liye
Aur Kab
Traffic Ki Qataron Ko
Apni Saanson Mein Bhar Liya,
Mujhe Khabar Na Hui
Aey Dilli!
Suna Hai Tu Beemar Bahut Hai
Kai Dino Se
Tere Dil Mein
Gubaar Bahut Hai
Tera Ilaaj Kya Hai
Mai Nahi Jaanta
Magar Mai Jaanta Hoon
Tu Dilli Hai !
Teri Shah-Rag Kay Qareeb
Ghalib Ne Nashe Mein Raqs Kiya Hai
Meer Kay Qagaz Ki Nami
Majaz Kay Toote Dil Ki Kirchiyan
Tere Jism Mein Mehfooz Hai
Tere Seene Mein
Khusroo Ki Raagein
Aur Tujh Mein Paiwast Hain
Nizamuddin Ki Qawwaliyan
Zouq Ki Yeh Galiyan
Beemar Tou Buhut Hain
Magar Murda Nahi
Tu Dilli Hai
Apne Naam Ki Tarah
No comments:
Post a Comment