Aey Srinagar, Meri Jaan
Aey Khoobsoorat Muatar laash
Teri Galiyon kay sab Aainey
Tod Diye Hain Maine
Mera Ru Hubahu Tujhe mein aagaya Hai
Tera Mujh Mein
Dekh Tujhe Bhi Apne Dal
Aur Jhelum Ki Barbadi Ka Malal Nahi
Mujhe Bhi Apni Rooh
Aur Dil Kay lutne ka kuch Khayal Nahi
Teri Bhi Har Sadak Ka Seena khokla Hai
Mere Zaat Ki Pagdandi Ka Bhi Yehi Rona Hai
Tere Hanoot Dariyaon Pe Thehre Pul
Sadd Chuke hain
Banawti Ranai Kay Siwa
In Mein Kuch Nahi
Mai Bhi Jhooti Muskurahatein Luta Raha Hoon
Tere Chowk Ki Paeshani Pe
Kabhi Waqt Ka Haath Nahi Thehra
Mere Sehraon Pe Bhi uska
Abr e Meharban Nahi Thehra
Srinagar, Jaana
Aa Kisi roz
Dastageer Sahab Se Rooth Kar
Makhdoom Sahab Ki Godh se Utar Kar
Khudkushi Kar lein
No comments:
Post a Comment