Nazm paani nahi
Jiskey geeley badan ko
Tum nazakat se chootey ho
Ki aek daira yahan ubhrey
Ek wahan doobey
Nazm sehra bhi nahi
Jahan maani ki raet
Zahen ki hawaoun se
Bikhar jaati hai
Aur tum uski talaash mein
Apney qadmoun key
Nishaan chod jatey ho
Nazm barf hai
Raat bhar barsi
Aur thehri hui
Safaid makhmali kafan jaisi
Jis par chal kar
Tum usko aise bikhaertey ho
Ki uska husn
Qaim bhi rehta hai
Dobala bhi hojata hai
No comments:
Post a Comment