Tanhai
Bandh kamron mein
Andheron kay humrah nahi aati
Apna phone bandh kar
Laguftari kay saath nahi aati
Tanhai aati hai
Roshan din ki tarah
Jab aasman ki andhi tabnaak aankh
Jism ko halkaan karde
Magar rooh se lagi
Barf ki sil
Jami ki jami rahe
ye aati hai
Roz kay kaam
Roz ki tarah karne mein
Logun se mil kar
Jinka munh khulte hi
Aap unki zabaan ki nok se
Ek gehri khayi mein gir jaate ho
Ye aati hai
Kitaab padhte waqt
Har warq kay mudne par jab
Pichle warq kay kirdaarun ko
Waqiyat samaet bhool jaate ho
Ye aati hai
Bichadne kay baad bhi
Mere kaanu se takrate
Tumhare qahqahon ki tarah